Friday, September 7, 2018

Koi kisi ka kab hua
Kis mod pe kisi ka rab hua
Bas badle ki Aag mein jalte rahe
Badle mein hum jaise jhulaste rahe
Rakh aur Zameen mein kya doori
Kisi ke Dard mein kya zaroori
Hum bewajah ishq ladate rahe
Woh sirf humien jalaate rahe
Aaj na woh khush hain na hum
Bus zindagi humein jalaati rahi
Meri maut kal nahin aaj hogi
Na koi aansoon na koi tadaad hogi
Bas Ik laash
Kahin kisi naali mein padi hogi

Tere Dard Ko kya samajhta
Tadapna mera Abhi baaki hai
Ae khuda tu kya karta
Tera apna munh dikhana Abhi baaki hai

Friday, November 17, 2017

Ghoont nasha ka kuch aisa
Ke gale ko hi ghont gaya
Jalaate jalaate har lamhe ko
Mere aks ko hi jala gaya
Ek maut manzoor
Ek zindagi tabah
Ek khwaab tanha
Har Ek saans saza
Aaj phir mujhe jhoota kaha
Aaj phir mujhe majboor kaha
Aaj tune kahin apne aap ko shaayad
Aaj tune mujhe apne aap ko samajh liya

Thursday, December 1, 2016

Har kisi ko nahin milta yahan pyaar zindagi mein
Har kisi ko nahin milta yahan pyaar zindagi mein
Dard to hai asliyaat bar kisi zinda na Mard ki zindagi
Ki har aurat milti hai bewafa zindagi
Tu kaun hai Jo dikhaye gham e insaaaniyat
Jo ghut chuke hai dard be unhe kaun dikhaye zindaji
Lo aaj ham na mar mite is ghazal par shaayad
Bas do ghunt aur baaki hai zindagi